ARMAAN
Khushiyon se mehkte sapne hi to hain armaan,
Khushi ki chahat hi to hain armaan!
Kuch adhure ko pura karne wale,
Akele vakt mein saath rehne wale,
Suraj ki kiran ki tarah chamakte hooe...
Kabhi-kabhi aansu bankar jhalak jaate,
To kabhi aankhon ki chamak ban jaate,
kabhi dhund mein raasta ban jaate,
Sacche saathi yahi to hain armaan!
Samajhne se samajh na aaye,
Kabhi beeta vakt,kabhi sapne yaad dilaye,
Zindagi se bhare ye pyare se sapne...
Duniya ko jeet lene ki tamanna,
khushiyon se bhari zindagi ki kalpana,
Chahat ki sab kuch ho apna!
Khushiyon se mehekte ye sapne,
Meethi si dhun ki tarah,
Subah ki tarah suhavne,
Pyaare se khwab mere armaan!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
armaan sabhi ke hote hain,
ReplyDeletesabhi kkoshih karte hain apne armaano ko
poora karne ke liye...
humne bhi kiya tha....
anyways acha lika hai